Search the Site   Advanced Search »
Sections


Poll: Caste Your Vote
Whom do you love the most?
Parents
Brother
Sister
Friend
Lover
Poll results | Old polls



email Email to a friend | print Print version | comment Comments (0 posted)

Tune jo zakhm diya hai.....

By on July 04,2007

image

-1- 

Tune jo zakhm diya hai usse bhul pana asan nahin
Zakhm ki buniyad pe ye zindagi guzarna ab asan nahin

Teri baton ka maine bharosa kiya ye meri bhool thee
Ab ye sach ko jhootlana asan nahin

Aaj tu magroor hai teri duniya basane me
Mujhe apni hi duniya me ab laut kar aana asan nahin

Tu aaj jo bach ke nikal rahi hai shona meei saye se
Ab yehi baat dil ko samjhana itna aasan nahin..

-2-

Koi kuch bhi na kahay to pata kya hai
Is bechain khamoshi ki wajah kya hai

Unhain ja ke koi kahe hum pee lenge zahar bhi
Woh sirf yeh to bata dain meri khata kya hai???

-3-

Jab tak humaari soch mein kuch Faasla na tha
Woh Hum sey door ho kay bhi Hum sey Juda na tha
Faasley aisey bhi hongey yeh kabhi socha na tha
Saamney baitha tha Merey aur Woh Mera na tha ..

-4-

Hamari chahton me koi kami na thi,

Ankhon me teri wafaon ki nami bhi thi,

Ulfat ne teri hume kahin ka na choda,

Mar na sake jeene ki chahat na rahi,

Kyun paraye ke liye tune mera daman choda…….

-5-

Yaad kisi ko karna yeh baat nahin jataane ki
dil par chot dena aadat hai zamane ki
Hum aap ko yaad bilkul nahin karte
kyun ke yaad karna ek nishaani hai bhool jane ki

-6-

Tumko jaante nahin, par chaahte hai hum
Din bhar khojte nahin, par sochte hai hum
Tumhare dil mein rehte nahin, par tumhare hai hum
Tumko shayad paayenge nahin, par apnaayege hum
Jeevan mein shayad kabhi mil na paao,bas bichad jaaoge tum
Shayad hamare na ban paao, par muskuraoge tum
Raat andheri hogi, phir-bhi jhilmilaoge tum
Hamein aur koi nahin, bas yaad aao ge tum

-7-

Meri nas nas mei tera pyar behta hai
har pal khyaalon mein ek chehra rehta hai
meri duaaye le aayegi usse ek din mere paas
mera har ek aansoo mujhse yahi baat kehta hai

 

-8-

Hum tumhein chaahte hai itna….chaahega na koi jitna
Dil cheer ke dekhle
A
iss dil mein tere liye pyar hai kitna
Baar baar yun aazmaate kyu ho hamein
Kehdo aaj tum bhi chaahte kyu ho hamein itna

-9-

Tujh binn jeena bhi kya jeena
teri chaukhat mera madeena
kahin aur na sajda gawara assan tey tenu rab manya
Tu maane ya na maane dildara assaa tey tenu rab manya

-10-

Samaa jao iss dil mein aap chupke se
churaalo hamein humise aap chupke se
ae Khuda bhar do itni chaahat hamare dil mein aap
kardo mere naam uski har ik saans chupke se


331 times read

Did you enjoy this article?

1 2 3 4 5 Rating: 4.00Rating: 4.00Rating: 4.00Rating: 4.00 (total 1 votes)
comment Comments (0 posted)



Total visitors till date