-1-
Dil ke jharoke mein usse bithaaya tha meine
Usse apni zindagi ka khaas hissa banaaya tha meine
Jalaa gaya jo aaj mera sab kuch yaaro
Ussi diye se ghar kabhi sajaaya tha meine
-2-
Jaye janaza jo unki gali se,
to unke dar par thehra Dena,
Haath jo uthe dua ke liye to,
muh se nakaab utha dena,
Itna bhi na kar sake koi,
to maut ki khabar suna dena,
Wajah puche koi maut ki,
to mahobbat bata Dena
-3-
Jaye janaza jo unki gali se,
to unke dar par thehra Dena,
Haath jo uthe dua ke liye to,
muh se nakaab utha dena,
Itna bhi na kar sake koi,
to maut ki khabar suna dena,
Wajah puche koi maut ki,
to mahobbat bata Dena
-4-
Har khamoshi ka matlabinkaar nahi hota.
har nakamyabi ka matlab haar nahi hota
to kya hua hum unhe paa na sake..
sirf paana hi pyaar nhi hota
-5-
Kyun pyaar us par hi aata hai,
Jo mil kar bhi naa mil pata hai.
Kaise yeh usse batayein hum,
Tujh bin rah na paayein hum.
Kyun baar baar woh satata hai
Kuwaabon main aakar rulata hai?
Bhulanaa us ko chahein hum,
Par kis tarah bhulaayein hum?
Woh dil main har dum rahta hai,
Dhadkan ki tarah dhadkta hai.
Hain issi ehsaas se zindaa hai hum,
Hain ek-duje ke dil o jaan hai hum
Ek duje ke dil main rahte hain
Kya pyaar issi ko kahte hain.....?????
***________________________________***
TADPA jati hain aksar unki, yeh jhukti hui aankhen,
jab uth-ti hain yeh aankhen, to yahi dua ban jati hain
yeh unki di hui TADAP-AE-ISHQ hai, ya unki hai dua,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai
unki is chahat me, TADAP-TADAP ke jee rahe hain,
ya unhi ki dua ke asar se, aaj saanse le rahe hain
yahi sochte-sochte bas, raat se subah ho jaati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai
ek to unka haseen chehra, us par kaali zulfon ke pehra,
wo palkon ki chilman aur aankhon ka kaajal gehra
ek nazar bhar jo dekh le, to kayamat ho jaati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai.
wo sharm-o-naadani se unka, apni nazren churaana,
wo aanchal ko daaton me daba kar yun muskuraana
yahi andaaz-o-ada to unki, tadapne pe majboor kar jati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai
***__________________________________***
Tanhayi se chal kar Tanhayi mein kho jaate hain,
Na jaane kyun mere kadam itne majbur ho jaate hain..
Bhula kar usse phir ussi ko yaar karte hain,
Mere Zakhm bhi jaise uske mohtaaj ho jaate hain..
Sookh kar kayi baar phir behne lagte hain,
Ye Aansu bhi jaise uske deedar ko taras jaate hain..
Khamosh ho kar bhi zuban par chale aate hain,
Ye lafz bhi jaise ussi se kuch kehna chahte hain..
Dard ko aksar baandha hai maine muskurahat mein,
Shayad Bebas ho kar hi ye Ehsaas
Mere naghmon mein utar jaate hain..!!
***__________________________________________***
Akhan di benuri changi nahi hundi,
Sajna kolon doori changi nahi hundi,
Kade kade tan milya kar,
Har vele majboori changi nahi hundi
*******************************