-1-
Us ajnabi ka yun na intzaar karo,
Is aashiq dil ka na aitbaar karo,
Roj nikla kare kisi ki yaad me ansu,
Itna kabhi kisi se na pyaar karo?
-2-
Mujhe dard-e-dil ki intehaa maloom hai,
Mujhe dard-e-ishq ki saza maloom hai,
Mujhe muskurane ki dua na do…
Mujhe pal bhar muskurane ki saza maloom hai
-3-
Wo mil jate hai kahani bankar,
Dil mein bas jate hai nishani bankar.
Jinhe hum rakhte hai apni aakho mein,
Kyo nikal jate hai wo pani bankar
-4-
tez dhadkanoon ko sunkar bhi tumhe
pyar ki khabar nahi hoti....
kya mehsoos karoge tum dil ka dard,
dil ke tutne ki to awaaz bhi nahi hoti....
-5-
Aj Main Bohat Udas Tha
Apna na Koi Pass Tha
Yaadian ! kuch Ayeen Thii
Anso Be Sath Layeen Thii
Lehrain Uthee Thii Kuch Ghum ki
Alam e Bebasi Ka kuch Youn Tha
Kashmakash Hai Samandar Main Ghum
Tanhai ka Azab Main Muhabbaton Ka Sarab Main
Awaz mari Apno Ki Ghunjhati Mari Kano Main
Sawal Un ke Ankho Main Jwab Mary Ansoo Main
Mousam E Dil Bohat Kharab Tha
Aj Main Bohat udas Tha !
Apna na koi Pass Tha !!!!