-1-
Apne ser kash ye ilzam na liya hota;
Wafa jaisa bura koi kaam na kia hota.
Tere pehloo se baher dekhte haseen duniya;
Kaash humein ishq ne gulam na kiya hota.
Kaash rok pate uthate kadmon ko teri janib;
Logoun ne yoon humein badnaam na kiya hota.
bus mai pahuncha hoon aur wo gaye hain;
Kash k do ghadi aaram na kiya hota.
Tadap-Tadap k dum nikle to khudkush sochta hai;
Kaash k zindagi ka saamna kiya hota.
-2-
Kitna badal gaya hai tere shaher ka aalam ;
Jahaan tha koi darakht wahaan per makaan hai.
Dil bhari bahar mein lagta nahi kahin ;
Menhdi k bina jaise khali baghwaan hai.
Mujhe bandishon mein jeene ki aadat to nahi;
per kya karoon k tangdil sara jahaan hai.
Halat se ladne ki ab himmat nahi rahi;
meri zindagi pehle se badi way amaan hai.
Peeri teri khamoshiyaan hi behater hain ab to;
khali jubaan hai waki aur sooni mayan hai.
Marta jana to poochha koi khahish to nahi;
Kya mangoo jub hisse mein khali aasmaan hai.