-1-
Wo ho gaya paraya phir bhi yakin nahi;
Ek aarjoo hai waki dil mein kahin - kahin.
Tumhein paaker bhi kya paya,
Tumhein khoker kya kho diya;
Phir kyun koi malaal hai dil mein kahin - kahin.
Na wo rishta na silsila hi raha,
Tujhse na koi rabta hi raha;
Phir kyun teri yaadein hain dil mein kahin - kahin.
Door tuk nazer mein hain waki veeraniya,
Mujhko rula rahi hain teri nishaniyaan;
Koi dard sa uthta hai dil mein kahi - kahin.
Mujhko maloom hai too lautker na aayega,
Aur mera bulana bhi fujool jayega;
Phir kyun milan ki aash hai dil mein kahin - kahin.
-2-
Julm sahne ki pad gayi aadat;
tera mohtaz ban gaya shaayad.
Mai jo tootker bhi na bikhra;
Jura jura sa reh gaya shayad.
Mareej-E-isk ki haalat pe taras aata hai;
Jeete zee jaise mer gaya shayad.
TUBHI TO KHAT MEIN WO NAHI JO HONA CHAHIYE THA;
LIKHNE WALA KISI DABAAW MEIN RAHA SHAAYAD.
khud pe jo pehre lagaye baitha hai;
Zamane se wo der gaya shayad.
Mud mudke dekhta chala rahi;
Koi humraah reh gaya shayad.
Use yaad karke sochta hoon mai akser;
Wo mujhe bhool gaya hai shaayad.