Nakaam si koshish kiya karte hain
Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye, Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye, Khud hi kar li bewafai humne, taaki unpar koi ilzaam na aaye
Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain
Milna itifaak tha bicharna naseeb tha Wo utna he door ho gaya jitna kareeb tha Hum usko dekhne k liye taraste he rahe Jis shaks ki hatheli pe hamara naseeb tha
Kaash banane wale ne humein aansoo banaya hota, Aur mehboob ki aankhon me basaya hota, Jab girte unki aankh se unki god me, Thoda marne ka maja bhi aaya hota
112 times read
|
|
Did you enjoy this article?
|
Comments (0 posted)
|
|