Sochta hoon tumse bichadkar
Ho saka jis tarah bhi Uss tarah toda hai mujhe Zindagi ne maut ke kabil bhi na choda hai mujhe Kuch is tarah hai Apno ke ehsaan mujh par Todakar har baar sheeshe ki tarah, Joda hai mujhe….
Kudrat ke usoolo me badal kyo nahi hota, Jo aaj hua wahi kal kyo nahi hota. Har jheel me pani,har jheel me lehre, Phir sabke naseeb me kamal kyo nahi hota. Jab usne hi duniya ka ye deewan likha hai, Har aadmi pyari si gazal kyo nahi hota. Har bar na milne ki kasam khake mile hum, Apne hi irado pe amal kyo nahi hota.
Sochta hoon tumse bichadkar,kya reh paoonga, Hazar khushiyan paas sahi,phir bhi bikhar jaaonga, Kitna dushwar hua karta hai yaadon ka safar, Main to samjha tha ki chupchap gujar jaaonga……….
Totally fida on your shayri ab hamari bhi suno waqt badalta hai zindagi ke saath, zindagi badalti hai mohabbat ke saath mohabbat nahi badalti apno ka saath bas apne badal jate hai waqt ke saath
154 times read
|
Did you enjoy this article?
|
Comments (1 posted)
|
|
|
(Posted by rajitha, May 12, 2010, 6:06 AM)