Chaar din ka hasna tha zindagi
Nov 10,2007 00:00 by arie

-1-
Chaar din ka hasna tha zindagi bhar ka rona jholi paa beithe
hum kahan zaalim duniya ki baaton mein aa beithe
aaj fir tadpe dil uski yaad mein najane kyun
aaj fir uski yaad ke moti palko pe saja beithe-Hassan

-2-
Honto pe tumhare hamara naam tak na aaye
mein milne aau par tu bahar na aaye
anjaan hai hamare pyar se vo ab tak
ya shayad hum jaiso pe unko taras na aaye-Hassan

-3-
Maang lenge tujhe apne khuda se hum
cheen lenge tumhe har kisi se hum
mere siva tum pe haq nahin kisi ka
na karna bewafai mujh se kabhi varna duniya chod denge hum-Hassan

-4-
Nahin sunta koi toote hue dil ki fariyaad
chod gaye aaj vo hi jisse kiya har pal dil se yaad
ae mehboob tehar ja saath, aankho ki barsaat tham jane tak
kya pata fir rahe na rahe hum tere aane tak-Hassan

-5-
Dard jigar mein uttha hai, koi marham lagane vala nahin
aag lagti hai dil mein, koi bujhaane vala nahin
kis se umeed rakhe hum iss bhare jahan mein
har kisi ne rulaaya iss qadar, koi hansaane vala nahin-Hassan