Phool pyaar k murjha gaye ab kya raha baki
May 27,2008 00:00 by arie

1.

Badal Sa Gaya Kuch, Na Rahe Ab Wo Hum
Kho Gaye Khayal, Toot Gayi Hai Qalam
Chalte Chalte Liya Waqt Ne Yoon Mod
Ja Rahe The Kahin, Chal Diye Kahin Hum

2.

Phool pyaar k murjha gaye ab kya raha baki,
Bas yaado k nashtar reh gaye ab kya raha baki,
Dil to mene unhe pehle hi de diya ,
Meri jaan bhi wo le gaye ab kya raha baki………

3.

Saari raah mein kaante hi kaante hain,
kuch phool aap hi bichha dijiye,


Jaage hain bahut uth uth kar raaton mein,
ab chain ki neend aap hi sula dijiye...

4.

Uss ko mera halka sa ehsaas to hai
Be dard sahi woh mera humraaz to hai
Woh aaye na aaye mere paas lekin
Shiddat se mujhe us ka intezaar to hai...

5.

Intezaar ki ghadiyan khatm ho chuki hai
Sabr ka paimana chalak jaayega
Mujhse baat tab karoge
Jab mera janaza nikal jaayega