na rone ka unse vada to kiya tha
May 27,2008 00:00 by arie

1.

Haasil-E-Ishq Faqat Dard Hai
Aye Kaash Pehle Hi Bata Deta Koi
Taqdeer Nahin Thi Gar Aasmaan Choone ki
Khaaq Mein Hi Mila Deta Koi..

2.

na rone ka unse vada to kiya tha,
fir bhi judai me unki barasti hain aankhe,
na milne ka unse irada to kiya tha,
par deedar ko unke tarasti hain aankhe..............

3.

Agar hum royen bhi aankhen hamari num nahin hoti
Ki hum apni mohabbat ko kabhi ruswa nahi kartay

itna bataa do Duniya walon ko
Mohabbat karne waale pyaar ka sauda nahin karte...
4.
Kisi ko ghar se nikalte hi mill gayi manzil
Koi hamari tarha umar bhar safar main raha

Aye maut tu hi aake qissa tamam karde..
Hum zindagi ke haathon qisto mein mar rahe hain...
5.
Kabhi Dil To Kabhi Shama Jalake Roye,
Teri Yadon Ko Dil Se Laga Ke Roye.
Raat Ke Aagosh Mein Jab So Gayi Duniya Saari ,
Ae Mohabbat Chaand Ko Teri Tasvir Bana Ke Roye