|
Kabhi aansu chhupa chhupa ke roye
Sep 04,2009 00:00
by
arie
Lamhon mein jo kat jaye woh kya zindagi,Aansuo mein jo beh jaye woh kya zindagi. Zindagi ka to falsafa hi kuch aur hai, Jo har kisi ko samajh aaye woh kya zindagi. Kabhi aansu chhupa chhupa ke roye, Kabhi dastan-e-gham suna suna ke roye. Raat kat-ti hai intezar-e-yaar mein, Hum raat bhar taron ko jaga jaga ke roye. Phir woh na aaye raat ka wada kar ke, Hum tamaam raat shama jala jala ke roye. Aaj raat un ke aane ki ummeed thi hamain, Woh na aaye hum ghar ko saja saja ke roye. Suna hai dua se hoti hai muraad dil ki poori, Hum sari raat haath utha utha ke roye...!!! |