|
Jo dil mein hai hamare
Sep 04,2009 00:00
by
arie
Meri gali se wo jab bhi guzrta hoga,Mod pe jaake kuchh der thaharta hoga. Bhool jaana mujhko itna aasaan to na hoga, Dil mein kuchh toot ke to bikharta hoga. Saath dekhe the Jo un khwabon ka kaarwaa, Gubaa bankar uski aankho me ubharta haga. Koi jab choomta hoga use baanho me lekar, Mera pyar badan me uske siharta hoga. Uski julfon ko meri ungliyan dulaarti hongi, Saamne aaine ke wo jab bhi sanwarta hoga. Dard jab bhi deta hoga ye sangdil zamaana, Wo bewafa mere pyar ko yaad karta hoga. Jinhe dhoondhte hain sapno main, Woh haqeeqat mein nahi hai. Jo haqeeqat main hai saamne, Woh hamare sapno mein nahi hai. Jo dil mein hai hamare, Woh hamare kareeb nahi hai. Aur jo kareeb hai hamare, Woh hamare dil mein nahi hai |