Kaash banane wale ne humein
Oct 25,2009 00:00 by arie
Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain


Milna itifaak tha bicharna naseeb tha
Wo utna he door ho gaya jitna kareeb tha
Hum usko dekhne k liye taraste he rahe
Jis shaks ki hatheli pe hamara naseeb tha


Kaash banane wale ne humein aansoo banaya hota,
Aur mehboob ki aankhon me basaya hota,
Jab girte unki aankh se unki god me,
Thoda marne ka maja bhi aaya hota