Jab bhi tanhai ne unko sataya
Jan 01,2010 00:00 by arie
Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo

Jab bhi tanhai ne unko sataya hoga,
Tab tab unko mera khayal aaya hoga
Gum ye nahi hai ki woh bhool gaye humko
Gum yeh hai ki ro ro ke bhulaya hoga!!!!!

Apne bhi dil se nahin bolta koi aaj kal,
Pyar ko bhi thukrata hai har koi aaj kal,
Kisiko bhi kisise juda hone ka gham nahin,
Apno ko bhi bhula deta hai har koi aaj kal

Tanhaaiya gungunane lagi
Har saans tumhara naam leti rahi
Har waqt tera intezaar karti hai
Aur tum naa aaye mere jeevan mein phir kabhi.
aur phir kya hoona tha bus sainsse wahi par tham gayi!!!