Matt kar mere dost hasino se
Jan 01,2010 00:00 by arie
Unki Mohabbat ke abhi nishaan baki hai,
Naam lab par hai aur jaan baki hai .
Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai,
Tasalli hai ki shakal ki pehchaan baki hai …

Matt kar mere dost hasino se mohabbat
vo aankho se waar karti hain
maine inhi aankho se dekha hai
ki vo kitno se pyaar karti hain

Geele kagaz ki tarah hai zindagi apni,
Koi jalata bhi nahi koi bahata bhi nahi,
Is kadar akele hai dilki raho mei,
Koi satata bhi nahi , Koi manata bhi nahi

Dil Ko Manana aggar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan….

Aaj phir aaina poochta hai,
Ke teri aankhon mein nami kyon hai
Jiski chahat mein khud ko bhula diya,
Uski chahat mein kami kyon hai