kuchh armaan dil me
Mar 01,2010 00:00 by arie
sapno ko haqiqat me piroya nahin karte
aansuo.n se daaman bhigoya nahi karte
gaur se dekho to zinda kab tha mein
murey huye ki maut pe roya nahin karte


ghamon ki kabr par khushiyon ke phool khile jahaan
mein sapno ki ayesi basti basaana chaahta hun
chhil chuka hai jisme mere jism ka har ik kona
ayese kaanto.n se bachke nikal jana chaahta hun


haqiqat ko bech ke sapney khareed laya tha
dukho.n ko paake bhi muskuraya tha
raat ke kaale saaye baste hain jahaan
tere jahaan ko chhor ayesa jahaan basaaya tha


malum tha ke wadaa karke bhi woh nahi aatey
fir bhi naa jaane kyon unki raah takte rah gaye
hamari barbaadi ka sabab ban gayee unki mohabbat
aur ham sir jhukaye sirf aansu bahaate rah gaye


kuchh armaan dil me sanjoye the
ashkon ne unko bhi bahaa diya
teri chaahat ki khatir aye sangdil
hamne zamaane ko bhi bhula diya


hamne to apni zindgi unke naam kar di
woh nazare ghuma kar chaley gaye
roshan karni thi jin chirago.n se apni mehfil
un chirago.n ko gira kar chale gaye


Mahabbat karne ke bhi khuch adab hote hain....
Jaagti aankhon main bhi khawaab hote hain...
Har koi ro kar dikhaaye yeh zarrori to nahi...
Khushk aankhon main bhi sailab hote hain!!


hawaa me tairti lakeero me
ik tasveer banti nazar aati hai
us tasveer ki haqikat ki chahat me
mujhe zindgi sanwarti nazar aati hai


jaan chali jati to koi bhi gham nahi hota
gham dene wale tu khud kyon chala gaya
pyar kabool mera nahi tha manaa kar dete
sirf sapney dikha kar kyon chalaa gaya


samhlane ki koshish me aur fisal jaaunga
aag se door rah kar bhi pighal jaaunga
lashkar ka saath tum dekhti rehanaa
mein to sunsaan raahon se nikal jaaunga


jazbaaton ko seeney me dabaana na aaya
kashti ko maujon se bachaana na aaya
apni barbaadi me tumhe saathi banata kaise
tumhe kisiko apna banaana na aaya


roshni hai yaar ke gharaunde me
yahan to sirf veerani chhayee hai
idhar hai maatam hi maatam
udhar baj rahi shehnayee hai
us kabrgaah pe na jana dosto
wahan se awaaz ik aayee hai
pyar ik dhoka hai mat karna isey
isme sirf aur sirf zudayee hai