Sochta hoon tumse bichadkar
Apr 19,2010 00:00 by arie
Ho saka jis tarah bhi
Uss tarah toda hai mujhe
Zindagi ne maut ke kabil bhi na choda hai mujhe
Kuch is tarah hai
Apno ke ehsaan mujh par
Todakar har baar sheeshe ki tarah,
Joda hai mujhe….


Kudrat ke usoolo me badal kyo nahi hota,
Jo aaj hua wahi kal kyo nahi hota.
Har jheel me pani,har jheel me lehre,
Phir sabke naseeb me kamal kyo nahi hota.
Jab usne hi duniya ka ye deewan likha hai,
Har aadmi pyari si gazal kyo nahi hota.
Har bar na milne ki kasam khake mile hum,
Apne hi irado pe amal kyo nahi hota.


Sochta hoon tumse bichadkar,kya reh paoonga,
Hazar khushiyan paas sahi,phir bhi bikhar jaaonga,
Kitna dushwar hua karta hai yaadon ka safar,
Main to samjha tha ki chupchap gujar jaaonga……….


Totally fida on your shayri ab hamari bhi suno
waqt badalta hai zindagi ke saath,
zindagi badalti hai mohabbat ke saath
mohabbat nahi badalti apno ka saath
bas apne badal jate hai waqt ke saath